Bazaaron ke beech mein tujhe ashayein maarte dekha tha…
2 rupeyon ke liye tujhe minton jirah karte dekha tha..
mahine ke aakhir mein tujhe rashan ke khali dibbon mein subakte dekha tha..
tab meine yeah jaana tha ki khushiyon ka rang hara hota hai…
jab har saal nayi kitabein gudi hoti thi…
jab school dress nahin, bas saal badalte they…
jab sab motorcycle se mujh cycle sawar ko peeche chhod jaate they…
tab meine yeah jaana ki aakankshaon ka rang hara hota hai…
un aankhon mein kya tha yeah pata nahin per..baandh kar rahi leti thi…
kehte hain ki kuuch baatein boli nahin, aaknhon se kahi jaati hain…
per jab usse chamchamati car mein vida hote dekha to…
tab meine yeah jaana ki zubaan ka rang hara hota hai…
Kaun sa hara rang? kisne banaya? kis per lagaya?
mein asamanjas mein tha…
phir hazaar thokarein khakar naukri ki talassh mein,
mein yeah jaana ki rupayon ka rang hara hota hai…
sach kya hai? Aur jhhot kise kehte hain?
sahi galat mein farq kaun batlaayega?
kisko maane aur kisko nakaarein?
aakhirkaar es duniya mein…
bhagwaan ka rang hara hota hai..
phir meine es hare rang se hi pyar kiya..
raat ko din banaya aur din ko meine bech diya…
jab sabko meine hara ranga to..
naa sahi raha kuuch aur naa galat bacha…
Aaj jab mein sar se paav tak hare rang mein ranga khada hoon…
woh gaye kahan jinke liye mein es peeda ko bhog raha hoon…
Kyon chhod gaye mujhe beech dagar mein?
kya khoon ka rang bhi hara hota hai?
kyon bhool gaye woh us ‘mein’ ko jo unse hi bhara pada hai?
Aaj en viraaniyon mein tanha khada hoon mein…
tab jaana ki ‘Khali haanthon’ ka rang hara hota hai…..